Thursday, March 25, 2010

Aapki Yaad Aati Rehti Hai Hardam,



Aapki Yaad Aati Rehti Hai Hardam,

Chasm-E-Nam Muskurati Rehti Hai Hardam,

Door Ke Chand Dil Me Utarte Rehte Hai,

Chandni Aansu Bahati Rehti Hai Hardam,

Baharon Ke Din Bhi Kabhi Khilte The Meri Zindagi Mein,

Ab To Veeraniyon Ke Badal Chhaye Rehte Hai Hardam,

Saath Tumhara Diye Rakhta Tha Ehsaas Jeene Ka,

Magar Ab Na Tamam Zindagi Jeene Ko Dil Chahta Hai Hardam!!!

Pehle Pehel To Khwaabon Ka Dam Bharne Lagti Hai,

Phir Aankhein Palkon Me Chhup Kar Rone Lagti Hai,

Jane Kab Kyon Suraj Ki Khwahish Karte Hai Log,

Jab Baarish Mein Sab Deewarein Girne Lagti Hai,

Tasveeron Ka Rog Bhi Aakhir Kaisa Hota Hai,

Tanahyi Mein Baat Karo To Bolne Lagti Hai,

Saahil Se Takrane Wali Vehshi Maujein Bhi,

Zinda Rehne Ki Khwahish Me Marne Lagti Hai,

Tum Kya Jano Lafzon Ke Aazaar Ki Shiddat Ko,

Yaadein Tak Sochon Ki Aag Mein Jalne Lagti Hai..

No comments:

Post a Comment